Monday 28 July 2014

Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte

Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil,
Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte,
Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein,
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte...

Tuesday 15 July 2014

Hadd se zyada

Aaj yeh tanhai ka ehsaas kuch hadd se zyada hai,
tere sang na hone ka malaal kuch hadd se zyada hai.
phir bhi kaat rahe yeh jiye jane ki saza yehi sochkar,
shayad is zindagani mein mere gunaah kuch hadd se zyada hai.

Saturday 12 July 2014

हिन्दी कविता बच्चों के लिए

पहले मैं होशियार था,इसलिए दुनिया बदलने चला था,
आज मैं समझदार हूँ,इसलिए खुद को बदल रहा हूँ।
बैठ जाता हूं मिट्टी पे अक्सर...
क्योंकि मुझे अपनी औकात अच्छी लगती है..
मैंने समंदर से सीखा है जीने का सलीक़ा,
चुपचाप से बहना और अपनी मौज में रहना ।
ऐसा नहीं है कि मुझमें कोई ऐब नहीं है पर सच
कहता हूँ मुझमे कोई फरेब नहीं है
जल जाते हैं मेरे अंदाज़ से मेरे दुश्मन क्यूंकि एक
मुद्दत से मैंने न मोहब्बत बदली और न दोस्त बदले .!!..

Thursday 3 July 2014

dosti ko dil say nibhaya

Khuda nay dost ko dost say milaya.
Doston k liye dosti ka rishta banaya.
Par khuda nay farmaya,
dosti rahegi uski kayam
jisne dosti ko dil say nibhaya...