Thursday 3 December 2015

बारिश शायरी


Hain ek barish ke roop kitne
Wohi hai badil, wohi ghata hai
Ye raaz kya hai
Tamaam qatre zameen par ek saath aa kar girte hain
Phir bhi sab ek se nahin hain
Ke jaise naghma, bohat se saazon se mil ke banta hai
Aur phir bhi
Tamaam saazon ka apna apna alag tashakhuss hai
Jaise pairon ke sabz patte
Ke sabz ho ke bhi apni rangat ke ek ek hisse mein
Saare patton se mukhtalif hain
Kabhi jo barish ki rutt mein main aankhon ko band kar ke
Main sirf us ki nirali sadyein sunta
Aur un mein bante tarha tarha ke suron ko chunta hoon....